Tuesday, April 5, 2011

wo bechara...




















kitna khush tha wo bechara
jab college mein aaya tha
char baras ki masti ka bas
ek hi sapana laaya tha
kathhin badey they shurwati din
ki senior koi bhi le leta tha
maan ke usko mandir-ghanta
koi bhi thapada deta tha
time bahut hai exam mein
abhi pad kar kya hoga
kar le masti jee bhar bachchhe
ye manzar fir kal na hoga
ye hidayat thi usko
uske sab senior mitro ki
eish uthha, dhuan uda
mat parwaha kar satron ki
do chaar mahine gujare ki
rangat uski badal gayi
funde dena seekh gaya wo
bhokal ke sang har baat hui
padhne ke liye umar padi hai
abhi masti kar lene do
abhi to kuchh bhi nahi chadi hai
pyala kuchh aur bharne do
kab ghadi ki suiyan ghumi
kab shaam se subaha hui
kisko fikra bhala class ki
subaha ko apni raat hui
kab kaise din gujar gaye
iska koi ehsaas na tha
chaar baras jo mehnat ki
waqt use dikhlane ka tha
tie laga ke , baal bana ke
gaya wo interview dene
sawal jabab ke jariye se
MNC me good job lene
kitna khush hua tha wo
jab job usne MNC me payi
job badi shaandar hogi
is illusion me neend na aayi
ab baitha hai wo bechara
us MNC ke office mein
ghis raha hai nirantar apni
time kaatne ki koshish mein
mail karo aur mail padho
din bhar ka kaam hai ye
do char print , xerox kar ke
xerox work ka experience le
soch raha hai ab bechara
kyun engineering usne ki
gar pata hota pehle se to
kya jarurat thi ghisne ki

1 comment:

जरुरत नही है ...

  मुझे अब तेरी जरुरत नहीं है तेरे प्यार की भी ख्वाहिश नहीं है कहानी थी एक जिसके किरदार तुम थे कहानी थी एक  जिसके किरदार हम थे अपना हिस्सा बख...